Sanam Ne Diya Zeher
Posted by HanifSanam Ne Diya Zeher Toh Hum Has Ke Nigal Gaye
Jab Hum Na Mare, To Humko Hi Humara Humshakal Keh Gaye!!!!!
Sanam Ne Diya Zeher Toh Hum Has Ke Nigal Gaye
Jab Hum Na Mare, To Humko Hi Humara Humshakal Keh Gaye!!!!!
Wo Bulaain Toh Kia Tamasha Ho
Hum Na Jain Toh Kia Tamasha Ho
Wo Kinaron Se Khelne Wale
Doob Jain Toh Kia Tamasha Ho
Banda Parwar Jo Hum Pe Guzri Hai
Hum Batain Toh Kia Tamasha Ho
Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Per
Muskurain Toh Kia Tamasha Ho
Teri Surat Jo Itefaq Se Hum
Bhool Jain Toh Kia Tamasha Ho
Waqt Ki Chaand Saatain Sagar
Lout Aain Toh Kia Tamasha Ho ..
Pathar Tha Magar Baraf Ke Galon Ki Tarah Tha
Ik Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah Tha
Khawabon Ki Tarah Tha Na Khiyalon Ki Tarah Tha
Woh Ilm_E_Riyazi Kay Sawalon Ki Tarah Tha
Uljha Hua Aisa Keh Kabhee Sulajh Nahi Paya
Suljha Hua Aisa Keh Misalon Ki Tarah Tha
Woh Mil To Gaya Tha Magar Apna Hee Mukaddar
Shatranj Ki Uljhi Hui Chalon Ki Tarah Tha